na kamal-e-fun hi mila mujhay na jamal husn-e-khayal ka

main to na tamam jawab hoon kissi doosray ke sawal ka

mere saaye se na simat saka tere mere dard ka fasla
karain zindagi ke sapurd kaya ye to silsila hai malal ka

mere aainon main jami rahi wo jo raig-e-dasht-e-firaq thi
mujhay phir aseer na kar saka koi rang mazi-o-haal ka

kahain kaya kissay, koi kaya sunay, ye hadees-e-dil ka muamla
na fasana laila-o-qais ka na qissa heer sayyal ka

jissay khojti rahi sada tere harf harf main roz-o-shab
teri ankh main tha chupa huwa wo jawab mere sawal ka

2 Likes

Re: na kamal-e-fun hi mila mujhay na jamal husn-e-khayal ka

nice sharing....!

Re: na kamal-e-fun hi mila mujhay na jamal husn-e-khayal ka

Nice :k:

Re: na kamal-e-fun hi mila mujhay na jamal husn-e-khayal ka

very nice :k:

Re: na kamal-e-fun hi mila mujhay na jamal husn-e-khayal ka

thanks shabo for the repu :bb:

Thanks all :slight_smile:

Re: na kamal-e-fun hi mila mujhay na jamal husn-e-khayal ka

very nice one :k:

Re: na kamal-e-fun hi mila mujhay na jamal husn-e-khayal ka

thanks :)

Re: na kamal-e-fun hi mila mujhay na jamal husn-e-khayal ka

Superb Weldone keep it up

Re: na kamal-e-fun hi mila mujhay na jamal husn-e-khayal ka

buhut khubsoorat intekhab tha....

Re: na kamal-e-fun hi mila mujhay na jamal husn-e-khayal ka

buhat umda.

Re: na kamal-e-fun hi mila mujhay na jamal husn-e-khayal ka

mere aainon main jami rahi wo jo raig-e-dasht-e-firaq thi
mujhay phir aseer na kar saka koi rang mazi-o-haal ka

jissay khojti rahi sada tere harf harf main roz-o-shab
teri ankh main tha chupa huwa wo jawab mere sawal ka

kamal ka kalaam g