na kaam hasratoon kay siwa kuch nahi raha
duniya main ab dukhoon kay siwa kuch nahi raha
aik umar ho gai hay kay dil ki kitaab main
kuch khushk patiyoon kay siwa kuch nahi raha
yaadain kuch is tarah say smaat pay cha gai
pichli rafaakatoon kay siwa kuch nahi raha
lab si liyay to apnay hi kamray main yoon laga
khamoosh aainoon kay siwa kuch nahi raha
jazbay tamaam kho gaye lamhoon ki dhool main
ab dil main dharkanoon kay siwa kuch nahi raha
![]()