Siraj Aurangabadi kii jis Haseen Ghazal maiN aapkii Khidmat meN pesh karne kii jasaarat kar rahaa huN uske chand ash’aar film “Umraao Jaan” men musta’mil huye the. ummeed hai k aapko bhii pasand aayegii yeh Ghazal. to, mulaaHizah farmaaiye:
Re: …na junuuN rahaa, na parii rahii…Siraj Aurangabadi kii ek Haseen Ghazal
Ghazal yaqeenan haseen hey aur intehai qabil-e-sataaish bhi. Lekin shaed GS pe is tarha ki ghazal ko samajhney waley kuch ziaada na hoN … Khalil bhai…ye ghazal hum sey share karne ke leeye bohat shukriya
Re: …na junuuN rahaa, na parii rahii…Siraj Aurangabadi kii ek Haseen Ghazal
**aapne paRh liyaa, paise vasool! vaise, meraa maqsad me’yaarii shaa’irii ko sab ko mut’aarrif karvaanaa hai…ek ne bhi paRh liyaa to kaafii hai taskeen ke liye