Khabar-e tahayer-e ishq sun na janooN raha na pari rahi
na to tu raha na to maiN raha, jo rahi so beKhabari rahi
shaah-e beKhudi nay ata kiya mujhe ab libaas-e barhanagi
na khird ki bakhiyAgari rahi na janooN ki pardadari rahi
chali simt-e ghaib se kya hua key chaman saror ka jal gaya
magar ek shakh nihaal-e gham, jisay dill kahaiN so hari rahi
nazar-e tagafull-e yaar ka gila kis zabaN sey bayaN karooN
key sharab-e sad qadah aarzo Khum-e dill main thi so bhari rahi
woh ajab ghari thi ke jiss ghari liyaa dars nusKha-e ishq ka
key kitab aql ki taaq main jyuN dhari thi tyuN hi dhari rahi
teray josh-e hairat-e husn ka asar is qadar sain AyaaN howa
key na ainay main jila rahi, na pari kooN jalva gari rahi
kiya Khak aatish-e-ishq nay dil-e benava-e Siraj kooN
na Khatar rahaa na hazar raha, magar aik beKhatari rahi