NA jee bhar k dekha na kuch baat ki

na jii bhar ke dekhaa na kuchh baat kii
baDii aarazuu thii mulaaqaat kii

kaii saal se kuchh Khabar hii nahiin
kahaaN din guzaaraa kahaaN raat kii

ujaalon kii pariyaaN nahaane lagiin
nadii gunagunaaii Khayaalaat kii

main chup thaa to chalatii havaa ruk gaii
zubaaN sab samajhate hain jazbaat kii

sitaaron ko shaayad Kahbar hii nahiin
musaafir ne jaane kahaaN raat kii
muqaddar mere chashm-e-pura’ab kaa
barasatii huii raat barasaat kii

Re: NA jee bhar k dekha na kuch baat ki

very nice

Re: NA jee bhar k dekha na kuch baat ki

old man but nice 1

Re: NA jee bhar k dekha na kuch baat ki

:k: