*
Na jaane dil bhi kya shay hai
Ke gar abaad ho jaaye
Tu duniya ka har ek mausam
Bahut shadaab lagta hai
Hamaari rooh be-wajha
Anokhi raushni se jagmagaati hai
Har ek manzar mukammal husn lagta hai
Yun lagta hai ke ek pal mein
Saari umer hi ji lee
Tamanna hi nahee hoti
Ke doosri umer hum paayain
Na jaane dil bhi kya shay hai
Ke gar barbaad ho jaaye
Tu har mausam khizaan ka aks lagta hai
Har ek manzar tabah barbaad lagta hai
Hamaari rooh bhi bujh kar
Bahut ghehray andheroon mein
Kaheen per doob jaati hai
Aur humein us ko
Andheroon ki taraf se dobaara
Raushni mein jagmagaane ke leye
Ek doosri zindagi darkaar hoti hai
Jo qismat mein nahee hoti...
Re: ~ Na jaane dil bhi kya shay hai ~
Very very nice Arif ji... Touchy! :(Re: ~ Na jaane dil bhi kya shay hai ~
Nice one :k: