“Chalo uss ka nahiN Allah ka ehsaan laitay haiN
wo minnat sau nahiN mana tu mannat maan laitay haiN
hum apni bai saro saamaaniyaaN eejaad kernay ko
tujhay jaan-e-tammanna kiyouN zarooree maan laitay haiN
muhabbat zindagi tehree tu phir iski zamanat kiya?
so tum say ehad kertay haiN na kuch paimaan laitay haiN
kaee mud-e-muqabil tu ye sunker haar ja-aiN gay
kay hum muftooh ki saari shara-it maan laitay haiN
na jaanay hum shanasaee kay kis aalam maiN rehtay haiN
tumharee ajnabeeat say tumhaiN pehchaan laitay haiN
Bata kiya unkay eemaaN ki saza bhi koee rakhi hai
Khudawanda jo tujh ko ehtiyatan maan laitay haiN!..”
(Mubarak Shah)
Kay hum tu Dhoop main baarishh kay woh qatray hain jo gir ker, dar-o-deevar per hi sookh jaatay hain…