...na hotaa maiN to kia hotaa? haN to bataaiye k aap kia hote?

**salaam,

Ghalib ka mashhoor-e-zamaana aur zad-e-zabaan-e-aam she’r mulaaHizah farmaaiye:

na thaa kuchh to Khudaa thaa, kuchh na hotaa to Khuda hotaa
Duboyaa mujhko hone ne, na hotaa maiN to kia hotaa?

haan ji, to, aapkaa kia Khayaal hai k Ghalib yaa ham agar paidaa na huye hote to kia hote is she’r kii roo se? bataaiye to zaraa! :slight_smile:

_______KKF**

Re: …na hotaa maiN to kia hotaa? haN to bataaiye k aap kia hote?

Mere khiyal se 2sary misrah mein woh yeh keh raha k agar mein na bhi hota to kiya farq parna tha duniya mein. Matlub us ke hoany se bhi koi farq nahi para.

**

lolz :cb: lagta hy khalil bhai ko roza lag raha hy hehehehe**

Re: …na hotaa maiN to kia hotaa? haN to bataaiye k aap kia hote?

**hahaha…meraa to rozaa hii nahiiN **:devil:

Re: ...na hotaa maiN to kia hotaa? haN to bataaiye k aap kia hote?


you mean zabaan zad-e-aam?

Re: ...na hotaa maiN to kia hotaa? haN to bataaiye k aap kia hote?

Kiya mein ne sahi bataya :@:

Re: ...na hotaa maiN to kia hotaa? haN to bataaiye k aap kia hote?


ji nahiiN...zabaan-e-zad-e-'aam_o_Khaas ke 'ilaava ek aur bhii moHaavarah hai jise zad-e-zabaan-e-aam_o_Khaas kahte haiN ... donoN meN ma'mooli saa farq hai.

Re: ...na hotaa maiN to kia hotaa? haN to bataaiye k aap kia hote?


nahiiN janaab...matlab iske bar'aks hai :D

Re: …na hotaa maiN to kia hotaa? haN to bataaiye k aap kia hote?

:hmmm:

Re: ...na hotaa maiN to kia hotaa? haN to bataaiye k aap kia hote?


any further insight and reference to that? I never came across on that. However, the one I mentioned was frequently taught us by urdu teachers back in school until high school.

Re: …na hotaa maiN to kia hotaa? haN to bataaiye k aap kia hote?

2no misrah aik 2sary ke oppiste lag rahain hain :hoonh: