Na Hareef-e-Jaan Na Shareek-e-Ghamm

Re: Na Hareef-e-Jaan Na Shareek-e-Ghamm

Maloom naheen Umarji, kochh badla naheen ya phir hamari ruuh hi kissi gumshuda sa’aat mein khoo gayi he

**Waqt nay woh khaak urhai he keh dil kay dasht say **
**qafley guzrey hain phir bhi naqsh-e-paa koyi naheen **
**khud ko mehsoor kar baitha hoon apni zaat mein **
manzileen charooN taraf hain raasta koyi naheen