na ghubaar main na gulab main mujhay dekhna
meray dard ki aab-o tab main mujhay dekhna
kisi waqt sham-e malal main mujhay sochna
kabhi apnay dill ki kitab main mujhay dekhna
kisi dhun main tum bhi jo bastiyun ko tyag do
isi rah-e- khana kharab main mujhay dekhna
kisi raat maah-o najum se mujhay pochna
kabhi apni chashm pur aab main mujhay dekhna
isi dil se ho kar guzar gaye kaye kaaravan
ki hijraton ke zaab main mujhe dekhna
mai.n na mil sakon bhi to kiya hua ke fasanaa hoon
naye daastan naiye baab main mujhe dekhna
meray khar khar saval main mujhay dhondhna
meray geet main merat khvab main mujay dekhna
meray aansuon ne bujhye thi meri tashnagi
isi barg zidaa sahaab main mujhay dekhna
wohi ik lamhay-e deed tha ke ruka raha
mere roz-o shab ke hisab main mujhay dekhna
jo tarap tujhay kisi aayiine main na mil sakay
to phir aayiine ke javab main mujhay dekhna
by: Ada Jafri
“Don’t be shallow by saying: if people do good, we will do good; and if they do wrong, we will do wrong; but accustom yourselves to do good if the people do good, and not to do wrong if they do wrong.”
~~~~~~~~
phiRa aj haq kaliye jaa’N fida karay koi
wafa bhi jhooM uthay yo wafa karay koi
nimaaZ 14 sadi se hai muntaziR logo|
HussaiN ke tarha aye ada karay koi
~~~~~~~~~
~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~*