Na ganwa’o navak-e-neemkash, dil-e-reza reza ganwa diya
jo bachay hein sung sameit lo, tan-e-dagh dagh lutaa diya
mere charagar ko naveed ho, saf-e-dushmana ko khabar karo
woh jo qarz rakhtay thay jaan par,wo hisaab aaj chuka diya
karo kaj jabeen pe sar-e-kafan, mere qaatilon ko gumaan na ho
ke ghuroor-e-ishq ka baankpan, pas-e-marg hum ne bhula diya
udher ek harf ki kushtni, yahan laakh uzr tha guftni
jo kaha to sun ke urda diya, jo likha to parh ke mita diya
jo rukay to koh-e-garan thay hum, jo chalay to jan se guzar gaye
rah-e-yaar hum ne qadam qadam, tujhe yaadgaar bana diya
~Faiz~
one of the best ghazals of faiz :k: … thanks for sharing:flower1:
NaMaan
March 5, 2009, 5:30am
3
Re: Na ganwa’o navak-e-neemkash ~Faiz~
^^ mujhay bhee samjhaoo na … manay bhee wah wah kerni ha
Re: Na ganwa'o navak-e-neemkash ~Faiz~
nice
muddii
March 5, 2009, 7:09am
5
Zabardast Choice..............Na Gunwaoo Navik-e-Neem Kush Ku............:)
Re: Na ganwa’o navak-e-neemkash ~Faiz~
Umda. :k:
Re: Na ganwa'o navak-e-neemkash ~Faiz~
FAIZ AHMAD FAIZ..my fav.
marvellous...bohot zabardast ghazal hay ..
Re: Na ganwa'o navak-e-neemkash ~Faiz~
Luta diya kya kehnay JW Faiz sahab ka andaaz bohat aala hai Thanks for sharing !
oye...zabardast...this is my most favourite ghazal...jiyo faiz n jiyo JW
muncho
March 5, 2009, 9:36pm
10
Re: Na ganwa'o navak-e-neemkash ~Faiz~
mere charagar ko naveed ho, saf-e-dushmana ko khabar karo
woh jo qarz rakhtay thay jaan par,wo hisaab aaj chuka diya
karo kaj jabeen pe sar-e-kafan, mere qaatilon ko gumaan na ho
ke ghuroor-e-ishq ka baankpan, pas-e-marg hum ne bhula diya
jo rukay to koh-e-garan thay hum, jo chalay to jan se guzar gaye
rah-e-yaar hum ne qadam qadam, tujhe yaadgaar bana diya
bahut aala !
Re: Na ganwa'o navak-e-neemkash ~Faiz~
Nice one
Re: Na ganwa’o navak-e-neemkash ~Faiz~
achee hi hogee
Chorro ye ghazlon ki uljhan- jao koi pop video dekho
Re: Na ganwa'o navak-e-neemkash ~Faiz~
Thank u everyone and esp to Muddiji for helping me understand the poem much better.
Bheegi, mere kolo ghussa ho, ghazal se na itraaz kero. chalo jaldi se koi zabardast comment daal do ab, shabaash!! :p