Mujhey kuch kehna hai tumse …
lekin darta hoon
ye dunya batain karey gi
Ilzaam lagaye gi …
Hamarey pakeza jazbaat ka mazak uraye gi …
Ji chahta hai tumhain rok loon
phir sochta hoon ke shayad
tum sumandar ki lehroon ki tarha
lout ao gi …
Our hum apney adhorey safar ko
dobara usi jaga se shuru karaingey
jahan qismat ne hamian dorahey per juda kardia tha
Tum apney our merey taluq ko koi naam na dena
issey benaam hi rehney dena …
Shayad naam deney se
iski qadar kam ho jaye our
ye bhi un afsaano ki manind
waqt ki gard taley dab jaye
jinhain ab koi nahi parhta
jinka ab sirf hawala baaqi hai ..