Aaj phir apni taman’naoN ka haasil likha
Aaj phir maiNne tera naam musalsal likha
Mujh pe taqdeer ne har reham kiya hai laikin
bas mujhay teri muhabbat ke na qabil likha
raat bhar jaagte rehnta hoN taRapta kyoN hooN?
khud ko phir teri nigahoN ka hai ghayal likha
zeest jab doob na paayi to teri yaadoN ko
doobtay ko jo bachata hai, wo saahil likha
meri sansoN ki mehak phir hai baharoN ki tarha
Phir teri yaad ko har saans maiN shamil likha
Meray Ash’aar ne phir unka kiya waqt kharaab
mujh ko GupyoN ne, Gupistan Ka Paagal likha
(Black Mamba)
Re: My Lattest.
*Originally posted by Black Mamba: *

Wah Wah Wah
Aik Dam Jhakhas Bola BM
Bara Maza Aaya Tum Itna Kam Why Boltay Ho
BM Meri Abhi Abhi Nazrein Pari Hain Hum Dono Ki Ghari Aagay Peechay Hi Chal Rahi Hai
Re: Re: My Lattest.
KyoNke Zyada bolnay walay logoN ko sab BeWaQooF kehtay haiN.
Re: Re: Re: My Lattest.
Haan Woh To Theek Laikin Is Mein Moochon Ko Tao Denay Ki What Need Thi
Amal
November 12, 2003, 11:13am
7
Re: My Lattest.
*Originally posted by Black Mamba: *
Aaj phir apni taman’naoN ka haasil likha
Aaj phir maiNne tera naam musalsal likha
Mujh pe taqdeer ne har reham kiya hai laikin
bas mujhay teri muhabbat ke na qabil likha
Nice work Black Mamba :k:…thanx for sharing with us:)
Azad
November 12, 2003, 1:26pm
9
Beautiful
Chalain kuch to boriyat kum howi
Re: Re: My Lattest.
Ye baat bhi, BeWaQoofoN ke samajhnay ki nahiN hai.
Thanks
Thanks alot for liking Amal.
Thanks Cap bhai.
Lagta to aisay hai jaisay aur bhi baRh gayi ho boriyat aap ki.
Waisay Azad bhai, Kaisay haiN aap?
Thanks khooni bhai.
Oye Mambay...
Yar.. Acha Bhala Shair hay tu... Bas koi Takhalus Soach aur Shadi karlay.. :D
Takhalus iss liye Zaroori hay ke.. uss kay baghir Koi.. Shair Tujhay LaRki naheeN dega... and.. Shair ke baghir tou koi Shair ko laRKi denay se raha ;)
Azad
November 13, 2003, 5:38am
14
Re: My Lattest.
Black Mamba
Aaj phir apnay Azad qalm ko Qabil likha
Pehlay daikha Mamba ko phir naam Qatil likha
Yon to Mamba ne her jurm kiya hai laikin
muchain rakh kar 10 numberi ka Hasill likha
raat bhar jaagta rehta hay soottay ki talab main
Police aa kar lay gaii kayfiyat main ghayal likha
Hawalat kay shorbay main tayrta raha kuch roz
doobnay ko tha bach gia, Howaldar ne kaahil likha
ab sansoN ki mehak phir hai 'Jehazon' ki tarha
Dhowaan orra ke parros ki deewar ko saahil likha
Azad Ash'aar ne phir kiya Zoq ka satiyanass
Mamba ne dushmano main naam Shamil likha :D
Adab Arz
Re: Re: My Lattest.
[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

[/QUOTE]
:D
Gr8 Done Azad Bhai..
mamba ko jo aap ne kahil likha
Bas meri sari umar ka hasil likha
:D
beautiful :k: thanx for sharing
aap ne tu jo bhi likha so likha
mien ne kabhi kuch aur kabhi kuch likha
Re: Re: My Lattest.
*Originally posted by Golden_Scorpion: *
Oye Mambay…
Yar.. Acha Bhala Shair hay tu… Bas koi Takhalus Soach aur Shadi karlay.. :
Takhalus iss liye Zaroori hay ke.. uss kay baghir Koi.. Shair Tujhay LaRki naheeN dega… and.. Shair ke baghir tou koi Shair ko laRKi denay se raha ;
Shaddi aur wo bhi Shair ki baiti se. yaar maiN ne tera kya begaRa hai.
Seriously yaar agar meri koi baat kabhi buri lagi ho, to aur bhi tareeqay haiN badla lainay ke.
*Originally posted by Azad: *
Black Mamba
Aaj phir apnay Azad qalm ko Qabil likha
Pehlay daikha Mamba ko phir naam Qatil likha
Yon to Mamba ne her jurm kiya hai laikin
muchain rakh kar 10 numberi ka Hasill likha
raat bhar jaagta rehta hay soottay ki talab main
Police aa kar lay gaii kayfiyat main ghayal likha
Hawalat kay shorbay main tayrta raha kuch roz
doobnay ko tha bach gia, Howaldar ne kaahil likha
ab sansoN ki mehak phir hai ‘Jehazon’ ki tarha
Dhowaan orra ke parros ki deewar ko saahil likha
Azad Ash’aar ne phir kiya Zoq ka satiyanass
Mamba ne dushmano main naam Shamil likha
Adab Arz
Aap ne jo bhi likha, sach hai sarasar likha