my first verse of urdu poetry

woh bhi kia din thay jab ham dono jin thay

ab ham duo hain jino kay bhi puo hain

hahahah

Javaban arz hay

Ham nay unn ki yaad main
roo roo kar tub bhar diyaaa
woo baysharam aaey
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.

aur naha kar chalaay gaaey

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/mad2.gif


ik zindagi theee Fida kar dee - Himaqatoon ki intehaaa kar deee

arz keya hai

Dil deya tha dildaar samaj kar
tum kha gay naswaar samaj kar

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


hummay tum say pyar kitna :)yae hum nahe jantay:)

array ap sub be kuch likhae

Eid aee sab dekhein hilaal-e-eid ko
ik hamara hi naseeba haddiyan turhwa gaya
chchat pe ham the, chaand tha, ham dekhtay the ghaur se
bas achaanak chaand ka abba wahan per aa gaya


~Woh mujh se pooch raha tha batao kesa laga
Tum aglay zakhmoN ko choro, yeh ghao kesa laga
Ajab sawal kiya aandhiyoN ne pattoN se
Shajar se toot ke girna batao kesa laga~

bahut khoob! kya shurooaat hai!

kuch meri taraf se:
Teri ankhen hain ya neeeli jheel
Teri ankhen hain ya neeli jheel
So what's the big deal!

                        Door se dheka to sher tha
                        Door se dhekha to sher tha
                        Is liye main paas gaya hi nahi!

Aik serious bhi ho jaaye!
Wo jahan bhi gaya, lot kar mere hi paas aaya
Bus yehi aik achai hai mere harjaai main

Dil kay armaa aansoo may beh gaye
Un ka bachay hamay mamu keh gaye
.
.
.
.
Khuda Karay sab haseeno ke baap mar jaeen
Maut ka bahana ho aur hum in ka ghar jaeen
.
.
.
.
Un ki gali say guzray, ajab itefaq tha
Unho na phool phanka, gambla bhee saat tha...
.
.
.
last one
.
.
.
Hum na unhai dekha angle badal badal kar
Un ka baap na huma mara, Sandal badal badal kar