Taaqatein tumhaari hein, par khuda humaara hai
aks par na itraao, aaeena humaara hai
Aap ki ghulaami ka bojh hum na dho’ein ge
aabaroo se marne ka faisla humaara hai
Koee bhi humesha to jung larr nahi sakta
tum bhi toot jaao ge, tajurba humaara hai
Doobne lage jab hum, tab khula fareb uska
hum to yeh samajhte the, na-khuda humaara hai
Dosti se rehne mein aafiyat hai dono’n ki
kuch bhala tumhaara hai, kuch bhala humaara hai
Ghairat-e-Jihad apni zakhm kha keh jaage gi
Pehla waar tum kerlo, doosra humaara hai
----Manzar Bhopali