*~ My FavouratE ~*

**Tapish say bach kah ghata’oon main bait’hh jaatay hain
Gaey hov’oon ki sada’oon main bait’h jaatay hain
Hum ird gird kay mausam say jab bhi ghabrain
Tayray khayal ki chaa’oon main bait’h jaatay hain


Kuch arz e haal koi guzaarish na kar sakay
Tha itna ro’bay husn kah junbish na kar sakay
Tha apni khwahishaat ka mahvar bas aik shakhs
Hum us kay baad koi bhi khwahish na kar sakay


Buhat veeran hain is shaher ki galy’aan magar in ko
Mayrii awaargi ka silsila aabad rakhta hay
Samadar paar ki nayrangiy’aan tum ko mubarak hoon
Mujhay tou mayrii mitti ka nasha aabad rakhta hay


Hum kah thahray ajnabi itni madarat’oon kay baad
Phir banaingay aashna kitni mulaqat’oon kay baad
Kab nazar main aaingi bay daagh sabzay ki bahar
Khoon kay dhabbay dhulaingay kitni barsat’oon kay baad


**

Re: ~ My FavouratE ~

:clap: gud 1 PK

Re: ~ My FavouratE ~

A gem of a thread:k:…every single line of whatever your posted is amazing Precious^Khan:k:…thanx for sharing this wonderful treasure with us :slight_smile:

Re: ~ My FavouratE ~

thax D^M n AMAL ji :flower1:

Re: ~ My FavouratE ~

Mohabbat hajr ki dahlez par
do jagti ankion mian tahra ashk hain
Aik aisa ashk,jis mian wasal ka sapna lahrazta hain
Ka jaise hauz ka pani mian beega aks
Jilmil khawaab ka manzar
Kissi ki arghavani orhni par jilmilata sa sitara
Ya kissi khawaash ka tanha sa jazira
Jis ka charo sammat pani hain
Aur is pani mian jitney siep hain sub motian wale
Magar who khera kun moti kahan sub ka maqader mian
Yehi sub battian tumi milne pa muj ko tum se kahna thi
Magar jannah ! tumi duniya ka dhanddo se kahan fursat
Muje dar hain kahi aisi naa ho jub tum ko fursat ho
Tu mian kah dow
Muje aub kuch nehi kehna
(Fakhira Batool)

Re: ~ My FavouratE ~

^**Buhat khoob … wellcome onboard n enjoy ur stay **:flower1:

P.S: kahdo jo bhi kahna hay main farigh hoon ab :smiley:

Re: ~ My FavouratE ~

excellento
:k:
u’v got a good choice!

Re: ~ My FavouratE ~

*
Kuch arz e haal koi guzaarish na kar sakay
Tha itna ro'bay husn kah junbish na kar sakay
Tha apni khwahishaat ka mahvar bas aik shakhs
Hum us kay baad koi bhi khwahish na kar sakay*

aala...

LUC

Re: ~ My FavouratE ~

Thanx rapunzle n HeArT HaCKeR:flower1:

Re: ~ My FavouratE ~

woow..*Samadar paar ki nayrangiy'aan tum ko mubarak hoon
Mujhay tou mayrii mitti ka nasha aabad rakhta hay *

nicee

Re: ~ My FavouratE ~

ThanX P^Z….:flower1: