**Aawaz Dey K Chup Gayi Her Baar Zindagi **
**Hum Aisay Sada Dil Thay K Her Baar Aa Gaye **
~~~~~~~*~
**Berha K Piyaas Meri Uss Ney Haath Chor Diya **
**Woh Ker Raha Tha Tha Marawat Bhi Dil Lagi Ki Tarah…!!! **
~~~~~~~*~
****Main to issi waastey chup hoon k tamasha naa banay **
aur tu samjhta hai k mujhe tujh sey gila kuch bhi nahin…!!!
**naa sawal sood o ziyan ka ker hai woh kya jo mujh ko mila nahin **
**meray humsafar tu yaqeen ker mujhe tujh sey koi gila nahin **
**hain teray karam ki hi baarishain jo sada rahin meray haal per **
**karoon tujh sey koi gila kabhi yeh mohabbaton ka sila nahin **
~~~~~~~*~
**
**Khuda naseeb karay unn ko daaimi khushiyaan **
Dost woh loug jo hum ko udaas rakhtay hain
**~~~~~~~*~ **
Kahan Tak Hum Musalsal Rukh Badaltay Jayain Kashti Ka **
**Wahin Tufaan Ubharta Hai Jahan Saahil Samjhtay Hain **
**~~~~~~~~**
**
**phir uss k baad aankhon mein bas gaya woh shakhas **
**agar chay hum ney ussey bey dili sey dekha tha **
**~~~~~~~~**
**mujh ko bura uss ney keh bhi diya to kya **
**yehi bohat hai k woh yaad ker raha tha mujhe **
~~~~~~~*~