** nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaa.N merii
Khaamoshii guftaguu hai, bezubaanii hai zabaa.N merii
**
** ye dastuur-e-zabaa.N-ba.ndii hai kaisii terii mahafil me.n
yahaa.N to baat karane ko tarastii hai zabaa.N merii
**
** uThaaye kuchh varaq laalaa ne kuchh naragis ne kuchh gul ne
chaman me.n har taraf bikharii hu_ii hai daastaa.N merii
**
** u.Daa lii kumariyo.n ne tuutiyo.n ne a.ndaliibo.n ne
chaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fugaa.N merii
**
** Tapak ai shama aa.Nsuu ban ke paravaane kii aa.Nkho.n se
saraapaa dard huu.N hasarat bharii hai daastaa.N merii
**
** ilaahii phir mazaa kyaa hai yahaa.N duniyaa me.n rahane kaa
hayaat-e-jaavidaa.N merii na marg-e-naagahaa.N merii
** lab pe aatii hai duaa banake tamannaa merii
zindagii shammaa kii surat ho Khudaayaa merii
**
** duur duniyaa kaa mere dam a.Ndheraa no jaaye
har jagah mere chamakane se ujaalaa ho jaaye **
** ho mere dam se yuu.N hii mere watan kii ziinat
jis tarah phuul se hotii hai chaman kii ziinat
**
** zindagii ho merii parawaane kii surat yaa rab
ilm kii shammaa se ho mujhako mohabbat yaa rab
**
** ho meraa kaam Gariibo.n kii himaayat karanaa
dard-ma.ndo.n se zaiifo.n se mohabbat karanaa
**
** mere allaah buraaii se bachaanaa mujhako
nek jo raah ho us raah pe chalaanaa mujhako
Hum parwarash-e-loh-o-qalam karte rahenge Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge Asbaab-e-gham-e-ishq baham karte rahenge iraani-e-dauraan pe karam karte rahenge Haan talkhi-e-ayyaam abhi aur barhe gi Haan ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge Manzur yeh talkhi yeh sitam hum ko gawaara Dam hai to madaawa-e-alam karte rahenge Maikhana salaamat hai to hum surkhi-e-mai se Tazzain-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge Baqi hai lahu dil mein to har ashk se paida e-lab-o-rukhsar-e-sanam karte rahenge Ek tarz-e-taghaaful hai so woh unko mubaarak Ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge