my attempt at poetry

salam folks,
just some random thoughts, lemme know how u feel..

aye mush-ke-henna, aye rang-e-chaman
tu sehra ki sa-ubat kya janay
wo aag jo dil may rakhtee hai
us moum ki ulfat kya janay

wo sapnay suhanay khaab sabhee
is dil may janam jo laitay hain
wo chah jo dil ye rakhta hai
us chah ki aatish kya janay

wo ishq jo teri chahat hai
wo ishq hai kar-e-tifal nahi
ik kasa hai saqi kay bina
us jaam ki may tu kya janay

hay raat wohee, jo yadoo may
hay subha wohee, jo banhoon may
jab pa na sakoo ye shaam-o-sahar
us dil ki raakh tu kya janay

..check this one out :slight_smile:

wo aankh nahi, ik sagar hai
wo jism nahi, ik sehra hai
jo dasht-o-aab ka sangam ho
us husan kee kaid tu kia janay

wo teer jo dil kay paar hua
bar-e-alam kam kar na saka
wo nalay, fughan aur zulf-e-sanam
is rog ko wayd tu kia janay

aur arz kiya hai..

wo josh jo khoon ye rakhta hia
wo rang jo hum nay paya hai
us dais ka ye sab dho-wan hai
us dais ki khaak tu kya janay

later.

good stuff.. i cant write urdu stuff..:(

Nice try :k:

Good one :k:

:k::k:

wonderful attempt!!!:biggthumb

Nice :k:

aap ki aajzi ki kia tareef kerni.

yaqeen karoo buhat acha likha hai. kam uz kum mujhey buhat pasand aaya hai.