Mohabbat ki tabiyat main yeh kaisa bachpana Qudrat ne rakha hai
kay yeh jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye
ishay taeed-e-taza ki zaroorat phir bhi rehti hai
yaqeen ki aakhiri hadon tak diloon main lelahati ho !
nigahoon say tapakti ho, lahoo main jagmagati ho !
hazaroon tarha kay dilkash, haseen halay banati ho
issay izhaar kay lafzoon ki haajat phir bhi rehti hai
mohabbat mangti hai youn gawahi apnay honay ki
kay jaisay tufl-e-sada shaam ko ek beej boey
aur shab main barha uthay
zameen ko khod kar dekhay kay poda ab kahan tak hai
mohabbat ki tabiyat main ajab takraar ki khoo hai
kay yeh iqrar kay lafzoon ko sunnay say nahi thakti
bicharnay ki ghari ho ya koi milnay ki saa-at ho
ishay bas ek hi dhun hai
kaho, mujhsay mohabbat hai
kaho, mujhsay mohabbat hai
kaho, mujhsay mohabbat hai
tumhay mujhsay mohabbat hai
samandar say kahin gehri, sitaroon say siwa roshan
piyaroon ki tarha qayam, hawaoon ki tarha dayem
zameen say aasman tak jis qadar achay manazir hain
mohabbat kay kinaye hain, wafa kay istiare hain, hamaray hain
hamaray wastay yeh chandni raaten sanwarti hain, sunhera din nikalta hai
mohabbat jis taraf jaye zamana sath chalta hai
kuch aisi bay-sakooni hai wafa ki sar-zameenon main
jo ehl-e-mohabbat ko sada bay-chain rakhti hai
kay jaisay phool main khushbo, kay jaisay hath main paara, kay jaisay shaam ka taara
mohabbat karnay waloon ki sehar ratoon main rehti hai
gumaan main sochoon main aashiyaan banta hai ulfat ka
yeh ain wisl main bhi hijr kay khadshoon main rehti hai
mohabbat kay musafir zinadagi jab kaat chuktay hain
thakan ki kirchiaan chuntay, wafa ki ajrakeen pehnay
samay ki reh-guzar ki aakhiri sarhad pay ruktay hain
to koi tooti sansoon ki dori thaam kar
dheeray say kehta hai
yeh such hai na… !
hamari zindagi ek dosray kay naam likhi thi !
dhundlaka sa jo aankhoon kay qareeb-o-dour phela hai
issi ka naam chahat hai
tumhay mujhsay mohabbat hai
tumhay mujhsay mohabbat hai
Re: my all time fav
wah wah nice.
Re: my all time fav
nice :k:
Re: my all time fav
Nice :k:
2 Likes