Ishq
ishq to intiha hay , ishq ki ibtida kahan
ishq ki hadein nahi , ishq ki akher kahan
ishq jado hay , han ishq hay rooh-e-rawan
ishq karo ga too payo gay janat ka saman
ishq nasha aesa kay saroor mittay kahan
ishq urayeh sakoon ab ishq mein nend kahan
ishq pana asan kahan , ishq mein shabistan kahan
ishq ha shikast-e-muqadir is jung mein jeet kahan
ishq mein sham bhojal aur raaton mein udasi ba-panah
ishq mein shab bekar ankh na lage to khuwab kahan
ishq moot ka kheel , han ishq dard ki daleel
ishq sitam-e-yar han ishq mein abb cheen kahan
ishq bay ghar karey , ishq mein thikana kahan
ishq tanha karey , han ishq mein zamana kahan
ishq ansooo dey , daman ashkon sa bhigona yahan
ishq intizar-e-yar ha aur ashiq ko issa faragat kahan
ishq zahar-e-qatil aur is mein sanson ki wafa kahan
ishq ha ik saza-e-umeri, Is mein umed-e-jaza kahan
ishq dard-e-dil dey , ishq sirf qarb ka hay saman
ishq gar ho yaktarfa , pir is mein masehaye kahan
ishq mein jo dob jaye , usay rok sake na koi hukmran
ishq mojzah-e-khuda ,tilism sa iska bach saka koi kahan
ishq mein gar jeet jayo to kuch payo gay kahan
ishq chenay sab kuch ismein mayar-e-insaf kahan
ishq kia jo mein nay farhan, uski ajab hay dastaan
sachey dastan-ishq mein nam aye,mere yeh majal kahan
ishq to intiha hay , ishq ki ibtida kahan
ishq ki hadein nahi , ishq ki akher kahan
i know there r lots of errors in it and there is always room for improvement
plz feel free to comment cause its only my 3rd try
regards
ra/en