**Nahi nazar aatay mat do dikhai, muzrim banogay?
Bewajah na do safaai, muzrim banogay?
Daikho, Suno, Kaho - such ki tareef karo
Such ke liye na karo ladaai, muzrim banogay?
Dilaasay do Dilaasay lo, Murday vida karo
Naa Socho, kab? Kiski aai, muzrim banogay?
Kar Gulaami, hasratain paalo, zhoothay aham (ego) paalo
Sir kafan baandha hogi hansaai, muzrim banogay?
Dunia hai nakkarkhana apni hi row main,
Tumne jo, apni hi tooti bazai, muzrim banogay?
**