Someoen emailed me. I like dit so sharing with u all…
Ye baat samajh main aai nahi,
Aur Ammi ney samjhai nahi
Main kaisay meethi baat karoon?
Jab meethi cheeji khai nahi
Aapi bhi pakaati hain Halwa,
Woh kiyon aakhir ‘Halwaai’ nahi?
Bhayya ki mangni ho gai kal,
Kiyoon kal hi ‘Dulhan’ mangwaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi
Naani ke miyaan jab Nana hain,
Dadi ke miyaan jab Dada hain…
Tab Aapi se main ne poocha ..
Baaji ke miyaan kiya ‘Baaja’ hain?
Woh huns huns kar yoo kehnay lagi,
Aray bhai nahi, yeh bat nahi
Ye baat samajh main aaai nahi
Kiyoon Lambay baal hain bhaalu ke ?
Kiyoon uss ki tind karaee nahi?
Kiya ‘woh’ bhi Ganda bacha hay?..
ya uss ke Abbu bhai nahi?
Yeh uss ka ‘Hair Style’ hay?..
ya Jungle main koi Naai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi,
Jo Taaray jagmag kartay hain,
Kiya unn ki ’ Chachi Taai’ nahi?
Par Chanda kaisa mamoo hay?
jab ammi ka woh ‘bhai’ nahi?
Ye baat samajh main aai nahi,
Aur Ammi ne samjhaai nahi
Main kesay meethi baat karoon?
jab meethi cheeji khai nahi