Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
Raat kaali sahi koi gham na karo
Ik sitara bano jagmagatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Baant’ni hai agar baant lo har khushi
Gham na zahir karo tum kisi per kabhi
Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Ashk anmool hain kho na dena kahin
In ki har boond hai motiyoon se haseen
In ko har ankh se tum churatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Faaslay kam karo dil milatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Re: muskaratay raho
Bohat khoob…
Bohat pyaari nazm hai…
Thanx for sharing… :k:
Re: muskaratay raho
Buhat khoob Ishrat ji,,,
Siley choor dein apney Khuda per
Wafa ko apni adat ker ke dekhein
Re: muskaratay raho
Bohat acchi nazam hai.....
Re: muskaratay raho
Wah, wah..........thanks for sharing.
Re: muskaratay raho
:k:
Re: muskaratay raho
bahot bahot khoob.......thnx for sharing......!