~*** MuskaaN ***~ by Iftikhar shafi

Sab tarah kay haalaat ko imkaan main rakha
Har lamha ussay soch main wajdaan main rakha

Hijrat ki gharri hum nay tayray khat kay ilava
Boseeda kitaboo’n ko bhi samaan main rakha

Mujh ko mairi qamat kay mutabiq bhi jagah di ?
Yeh phool utha kar kabhi guldaan main rakha ?

Ek umer guzari hay na’ey aahung say laikin
Ajdad ki aqdaar ko dhiyaan main rakha

Hontoo’n ko sada rakha tabassum say ibarat
Ek zaher bujha teer bhi muskaan main rakha

By..iftikhar shafi

Re: ~*** MuskaaN ***~ by Iftikhar shafi

Aahahaaa ...
Khan jee chha gaye hain aap.....
Its really aaawwsome... :-)

Re: ~*** MuskaaN ***~ by Iftikhar shafi

Thanx yaara :flower1:

Re: ~*** MuskaaN ***~ by Iftikhar shafi

Sab tarah kay haalaat ko imkaan main rakha
Har lamha ussay soch main wajdaan main rakha

zabardust

Re: ~*** MuskaaN ***~ by Iftikhar shafi

Thanx sannan dear :flower1:

Re: ~*** MuskaaN ***~ by Iftikhar shafi

Wow Zabardast...

PK bohot din baad kuch share kiya lakin bohot Ala.

Re: ~*** MuskaaN ***~ by Iftikhar shafi

gud work khan:)

Re: ~*** MuskaaN ***~ by Iftikhar shafi

:k:

Re: ~*** MuskaaN ***~ by Iftikhar shafi

Wah Wah Wah,,,,,,,,,,



Re: ~*** MuskaaN ***~ by Iftikhar shafi

Thanx all of u for liking it :flower1: