Uss kay saath rehna
buhut mushkil hay
yeh baat kaee baar
maiN nay sochi hay
aik din main nay
uss say pooch liya
bataa!
teray saath rehna
itna muhskil kiyoon hay!
hontoN pay jami
thakki muskaan par
zubaan phair kar bola:
tujhay kiya khabar
mai khud kitni mushkil say
apnay saath reh raha hoon
Salim Agha Qizilbash