Mushaira on Chat..

Re: Mushaira on Chat..

main aik aur shar ekaro loonn :@:

na sama'aaton main tappash ghulay na nazar ko waqf e azaab kar
Jo suna'ee day ussay chup sikha jo dikha'ee day ussay khwab kar

abhi muntashir na ho ajnabi na vissaal- e-rutt k karam jata
jo teri talaash main gum huay kabi un dinon ka hisaab kar

meray sabar pe koi ajar keon meri dehleez pe ye abar kyoon
mujhay au'rnay day azi'atain meri adatain na kharab kar

kahin aablon k bhanwar main kahin dhoop roop badan main sajain
kabi dil ko thall ka mizaj day kabhi chashm e tar ko chanab kar

ye hujoom har sitam garan na sunay ga teri sada kabi
meri hasraton ko sukhan suna meri khwahishon say khitab kar

ye juloos e fassl e bahaar hai tehi dasst yaar saja issay
koi ashk phir say sharar bana kar zakhm phir say gulaab kar