here it comes..
ZAHIR KISI SOORAT B KAHI NAAM NA KARNA
Hain log boht khaas hamain aaam na karna
JANAY KI IJAZAT TO DEYE DETAY HAIN LEKEN
Rastay mai kahi aatay hoye shaam na karna
KUCH ROZ SE YE HAAL HAI CHAHAT MAI TUMHARI
BeKaar paray rehna koi kaam na karna
MAI B NA DIKHAAON GA SAR-E-RAAH GIRAYBAAN APNA
Tum b maray wado ko sar-e-aaam na karna
IS SHART PE HAI TARK-E-TALUQ KI IJAAZAT
Badnaam zamanay mai mera naam na karna
HAM LOG PALT AANAY KI KHATIR NAHI JAATAY
Khula shaam k baad apna dar-o-baam na karna
YADON KA NASHA HOSH URRA DETAA HAI JAANA!
SAQI se kaho samnay maray ab jaam na karna