----~musam-e-girya~----

to chal, ay musam-e-girya, phir ab ki baar bhi ham hi
tayree unglee pakartay hain, tujhay ghar lay kay chaltay hain
wahan har cheez waysee hay koe manzar naheen badla
tayra kamrah bhi waysay hi para hay, jis tarah too nay
usay daykha tha, choura tha
tayray bistar kay pahloo main rakhee ous mayz par ab bhi
dhara hay mag who coffee ka
keh jis kay khusk aur tootay kinaroun par
abhi tak was-wasoon ki jhaag kay dhabbay noumayaan hain
qalam hay, jis ki nib par rat-jagoun ki rooshnie youn laraztee hay
keh jaysay soukhtay hoay hoontoun pay pippree jamnay lagtee hay
wo kaghaz hain
jo bay-roay hoay kuch aansouoon say bhigay rehtay hain
tayray chappal bhi rakhay hain
keh jin kay bay-samar talwoon say who sab khawb liptay hain
jo etna roonday janay par bhi ab tak saans laytay hain
tayray kapray,
jo gham ki barishoon main dhul kay aa-ay thay
mayree almareyoon kay hangaroon main ab bhi latkay hain
dilasoon ka wo geela tauleeya
aur hichkeyoon ka adh-ghoola sabun
chamaktay wash basin main paray hain aur
thanday garam pani ki wo doonoon tooteyaan ab tak
rawaan hain too jinhain ous din
kisi jaldi main chalta chour aaya tha
dareechay ki taraf dewar par latke gharee
ab bhi, hamaysha ki tarah,
adha minute pechay hi rehtee hay
calendar par rooki tareekh nay palkain naheen jhapkeen
aur ous kay saath aawayzaan
wo ek manzar,
wo ek tasweer jis main wo
mayray shaanaay pay sar rakhay mayray pehloo main baythee hay
mayree gar-dan aur ous kay gay-sooyoon kay paas ek titlee
khushee say urtee phirtee hay
kuch aysa sehar chaya hay
keh dil rukta, hawa chaltee hoe mehsoos hootee hay

magar ay-mausam-e-girya,

ussi sa-aat
najanay kis taraf say too chala aaya
hamaray beech say guzra
hamaray beech say too es tarah guzra
kay jaysay doo mukhalef raastoon ko kaat-tee sarhad
keh jis kay har taraf bas dooreyoun ki gard ourtee hay

ousi ek gard ki teh si
tujhay darwazay ki bell par jami shayad nazar aa-ay
koe tasweer kay andar kami shayad nazar aa-ay
taman-na say bharee aankhain jo har dam muskooratee theen
ab oun aankhoun main nami shayad nazar aa-ay


Re: ----~musam-e-girya~----

kuch aysa sehar chaya hay
keh dil rukta, hawa chaltee hoe mehsoos hootee hay

Its awesome.......... exquisite........intense.......flawless,
Mauj Ji ,kya poet ka naam bata'ain gae??? plz....

very nice..

Beautiful, Thanks for sharing MdM.

:k::k:

Re: Re: ----~musam-e-girya~----

[QUOTE]
*Originally posted by aadhoorighazal: *
kuch aysa sehar chaya hay
keh dil rukta, hawa chaltee hoe mehsoos hootee hay

Its awesome.......... exquisite........intense.......flawless,
Mauj Ji ,kya poet ka naam bata'ain gae??? plz....
[/QUOTE]

This is from Amjad Islam Amjad...Thanks for liking

Lovely!... Kia sooch ki gehrae hai
Thanks for sharing MdM..

wahh zaberdast :k: