**Musalsal rokti hoon usko sheher-e-dil main aanay se
Magar wo koh-e-kun rukta nahi deewaar dhanay se
Bhala kia dukh kay aangan main sulagti larkiyan janain
Kahiin chuptay hain aansoo anchaloon main chupanay se
Abhi tu fasal taaza hai humaray hurf o maani ki
Abhi dartay nahiin hum mausamon kay aanay jaanay se
Abhi tu ishq main aankhein bujhi hain dil salamat hai
Zamenain baanjh hoti hain kabhi faslein jalanay se
Tujhay tanha mohabbat ka yeh dariya paar karna hai
Nadamat hogi us kay hoslon ko aazmanay se
Humein kis zarf kay kirdaar kay qissay sunata hai
Tujhay ay shehar hum bhi jantay hai ik zamanay se
Tujhay bhi zabt-e-ghum kay shoq nay pathar bana daala
Tujhay ay dil buhut roka tha rasm o rah nibhanay se**
](http://www.ijunoon.com/poetry/sad/)