sab musafir hain yahaan sab he safar kartey hain
jo muqaddar se miley us main guzar kartey hain
umer bhar kiska basera hai zamane main yahaan
aaik pal ke liye to sab hi basar kartey hain
youn to duniya ko azal se nahi jaana na koi
par abad ka sabhi har daur zikar kartey hain
karwaan waqat ka chalta hai har kisi ke liye
har koi apni he manzil ki fikar kartey hain
kisko maloom hai kal kisne yahaan dekha hai
aaj ko loog magar kal ke nazar kartey hain