mujy manzilon se aziz hain teri rah-guzar ki musaaftain
ke likhi hain mere naseeb main abi umr bhar ki musaftain
usi aik pal ki talaash main jisay log kehty hain zindagi
teri rah guzar main bikhar gai meri umr bhar ki musaftain
hain baray ajeeb se wastay ke guraiz-pa sabhi rasty
wo teri nigah ke faslay ye meri nazar ki musaaftain