Yeh pakistan toba tek singh kay aik village ka sacha waqia hai jo keh kaffee saal guzar janaay kay baaad bhi yadoon main attka hua hai.
Ab soocha keh kiyoun na gs main thread khool doon aur aap kay feedbacks much appreciated
No offence to anyone
Hakoomat nay village ki dispensary ko drugs store kernay kay liyay refridgerator fraham kia.
Dispensor nay us main drugs and injection store kernay ki bajaay apnay ghar ka meat aur food store kerni shroh ker di aur duwaiyaan bahar.
Yeh duwaiyaan aik khaas temperature per store kernay walli theen. Dispensor nay jitnay bachoon ko injection lagaay Inn dowaiyoun main say un ki death hu ghai (nearly half dozen bachay)
In bachoon ki maut nay village main kehraam macha diya
Punchiat bulai ghaiy khoob ghumu gusa ka azhaar hua
At the end buzurg loogoon nay faisala diya keh dispensor maafi mangay allah ko aisay hee manzoor tha aur unn bachun ki aisay hi likhi hui thi
Aap iss tragedy aur faislay kay baraay main kia kehtay hain?
Agar faraz kerain aap ka bacha bhi huta tu aap kia kertay?
Please share your opinion with us