JahaN pe sahar aa key toota, jahaN pe baat khatam hovi
JahaN pe chaand bujh gaya, jahaN pe neend uRR gaye
JahaN ehtbaar k mousum aik dum ThiThak gaye
JahaN pe lafz k dhaarey bey-simat muR gaye
JahaN larazti palkooN se aansoo ulajh gaye
JahaN dil maiN door tuk sanaTey uter gaye
JahaN aankhoN ki putliyooN se basarat juda hovi
JahaN paa’oN k chaalooN ne ki faryaad-e-masehaayi
JahaN ruk kay jazbooN ne ik gehri saans li
JahaN uThi hovi nigaah-e-tahiyur Theher gaye
JahaN per dil ki dhaRkan ne doobna chaha
JahaN ragooN maiN saara khoon bay-mout jam gaya
JahaN haath ki lakeerooN ne cheekhna chaha
woh
Muqaam-e-beywafaii tha
*
Nice..:k:
bohat achay :k:
Wonderful....
HH, Shobii, Dilsay- thanks :-)
very nice :k:
Re: ~Muqaam-e-beywafaii~
lovely…:k: