salaam Muddi saaHab,
ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Kahir hoNge.
aapaka intiKhaab urfa o aalaa hai aur paRh kar bahooot lutf bhii aayaa. Ghalib kii Ghazal “naqsh faryaadii hai kiskii shoKhii-e-taHreer kaa” aur 'allaamah "iqbaal kii Ghazal “ik fuGhaan-e-be_sharar seene meN baaqii rah gaii” kii yaad taaza ho gaii. mujhe qawaafii bahooot pasand aaye.
kuchh ash’aar ke kuchh misr’e Khaarij az bahr aur vazan haiN…shaayad kitaabat kii laGhzish hai…tasHeeH farmaa leN, plz!
Allah Haafiz,
_______Hashmat