**muntazir kab se tahayyur hai terii taqrir kaa
baat kar tujh par gumaN hone lagaa tasviir kaa
raat kyaa soye ke baaqii umr kii niind uD ga_ii
Khvaab kyaa dekhaa ki dhaDka lag gayaa tabir kaa
jaane tuu kis aalam men bichDa hai ke tere baGair
aaj tak har lafz hay faryadi meri taharir ka
jis tarah baadal kaa saayaa pyaas bhadkata rahe
main ne vo aalam bhii dekhaa hai terii tasviir kaa
kis tarah paya tujhe phir kis tarah khoya tujhe
mujh sa munkir bhii to qail ho gayaa taqadir kaa
ishq men sar phorna bhii kya ke ye be meher log
ju e KhuN ko naam dete hain ju e sheear ka
jis ko bhii chaha usay shiddat se chaha hai Faraz
silsila TuTa nahin dard kii zanjir ka .**