Us per tumhare pyar ka ilzaam bhi to hai
Acha sahi ~Qateel~ pe badnaam bhi to hai
Aankhain her ik hasee’n ki be-faiz to nahi
Kuch saagron mai baada-a-gulfaam bhi to hai
Palkon pe ab nahi hai wo pahla sa baar-a-gham
Roone k baad ab hamain aaram bhi to hai
Hum jaante hain jis ko kisi aur naam se
Ik naam us ka gardish-a-ayaam bhi to hai
Aye tashna kaam-a-shauq usay aazma k daikh
Wo aankh sirf aankh nahi jaam bhi to hai
Munkar nahi koi bhi wafa ka magar ~Qateel~
Duniya k saamne mera anjaam bhi to hai**
~Qateel~