Munir Niazi dies...

Re: Munir Niazi dies...

As AMAL said, a terrible setback. URDU loses another great poet. ALLAH Munir Niazi Saab k darjaat buland karay.

I just want 2 say that he may have passed away from this WORLD, lekin hamaray dil mein hamesha wo zinda rahein gay.

UET mein mushaira hua tha 20th Dec ko. It happened 2 b the last mushaira of his life. I would like 2 share a few verses jo unhon ne parhay thay:

KHUBSOORAT ZINDAGI KO HUM NE KAISAY GUZARA

aaj ka din kaisay guzray ga, kal guzray ga kaisay
kal jo pareshaani mein beeta, wo bhoolay ga kaisay

kitnay din hum aur jiyein gay kaam hein kitnay baaqi
kitnay dukh hum kaat chukay hein, aur hein kitnay baaqi

khas tarah ki soch thi jis mein seedhi baat ganwa di
chotay chotay wehmon mein hi saari umr bita di

kitaab-e-umr ka ek aur baab khatam hua
shabaab khatam hua, ek azab khatam hua

hui nijaat safar mein fareb-e-sehra se
saraab khatam hua, izteraab khatam hua

baras k khul gia badal hawa-e-shab ki tarha
falak pe bark ka wo paech-o-taab khatam hua

jawab-deh na raha mein kisi k aagay MUNEER
wo ek sawal or uska jawab khatam hua

Images of the MUSHAIRA at UET. Dec 20th

gsmedia=aabla_pa]muneer_2.jpg[/gsmedia]

gsmedia=aabla_pa]muneer3.jpg[/gsmedia]

Re: Munir Niazi dies...

**Allah Janaat Naseeb Kuray! Ameen!

کُج اُنج وی راہواں اوکھیاں سن
کُج گل وچ غم دا طوق وی سی
کُج شہر دے لوک وی ظالم سن
کُج مینوں مرن دا شوق وی سی**

Re: Munir Niazi dies...

Inna Lillah e Wa Inna Ileh e Raa'jeoon

Re: Images of the MUSHAIRA at UET. Dec 20th

:slight_smile:

Re: Munir Niazi dies...

*Zi.ndaa rahe.n to kyaa hai jo mar jaaye.N ham to kyaa *

Zi.ndaa rahe.n to kyaa hai jo mar jaaye.N ham to kyaa
Duniyaa me.n Khaamoshii se guzar jaaye.N ham to kyaa

Hastii hii apanii kyaa hai zamaane ke saamane
Ek Khvaab hai.n jahaa.N me.n bikhar jaaye.N ham to kyaa

Ab kaun mu.ntazir hai hamaare liye vahaa.N
Shaam aa ga_ii hai lauT ke ghar jaaye.N ham to kyaa
Dil kii Khalish to saath rahegii tamaam umr
Dariyaa-e-Gam ke paar utar jaaye.N ham to kyaa

Munir Niazi

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

:)

Re: Images of the MUSHAIRA at UET. Dec 20th

Thanks for sharing, these must be last few pictures of Munir niazi.

I can see in second picture, Wasi shah Amjad Islam Amjad and Munir niazi

Re: Munir Niazi dies...

:(

Re: Munir Niazi dies...

Innal lillahay wa inna ilayhe rajeeoun!!

Re: Munir Niazi dies...

^ allah unhain janat main jagga ay (aamen)