Munir Niazi dies...

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

zaruurii baat kahanii ho
koii vaadaa nibhaanaa ho
use aavaaz denii ho
use vaapas bulaanaa ho
hameshaa der kar detaa huu.N mai.n

madad karanii ho usakii
yaar kii dhaa.Das ba.Ndhaanaa ho
bahut deriinaa raasto.n par
kisii se milane jaanaa ho
hameshaa der kar detaa huu.N mai.n
badalate mausamo.n kii sair me.n
dil ko lagaanaa ho
kisii ko yaad rakhanaa ho
kisii ko bhuul jaanaa ho
hameshaa der kar detaa huu.N mai.n
kisii ko maut se pahale
kisii Gam se bachaanaa ho
haqiiqat aur thii kuchh
us ko jaa ke ye bataanaa ho
hameshaa der kar detaa huu.N mai.n

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

KISS DA DOSH SI KISS DA NAHIN SII
EAY GALAN HUUN KARAN DEAN NAHIN
WELLAY LANG GAE TOBBA WALE

RAATAN HONKE BHARAN DEAN NAHIN
JO HOEA AEY HONA HI SII
HONNI KADDI WII RUKDI NAHIN
GAAL JAY EKK WAARI CHAL PAWAY
FAER CHEETI KEETEN RUKDI NAHIN
KUJH UNJ WEE RAHWAN OKHEAN SAN
KUCH GAL WICH GHAMAN DAA TAUUQ WEE SII
KUJH SHEHAR DE LOAG WII ZALAM SAAN
KUJH MENON MARAN DA SHAUQ WEE SII

MUNIR NIAZI

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

*chaman me.n rang-e-bahaar utaraa to mai.n ne dekhaa
nazar se dil kaa Gubaar utaraa to mai.n ne dekhaa *

**

***mai.n niim shab aazamaa ke hasarat ko dekhataa thaa
chaman me.n vo husn zaar utaraa to mai.n ne dekhaa *

**

***Khumaar mai thii vo cheharaa kuchh aur lag rahaa thaa
Dam-e-sahar jab Khumaar utaraa to mai.n ne dekhaa *

**

**
galii ke baahar tamaam ma.nzil badal gaye the
jo saayaa ek kuu-e-yaar utaraa to mai.n ne dekhaa
**
ik aur dariyaa kaa saamanaa thaa 'Munir' mujh ko **
**
mai.n ek dariyaa ke paar utaraa to mai.n ne dekhaa

**

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

Ghum ke barish ne bhi terey nuqsh ko dhoya nahein
Tu ne mujhey bhola deya mein ne tujhey khoya nahein
Jaanta hoin aik essay shukhes ko mein bhi Munir
Jo ghum se pahther ho gaya lakin kabhi roya nahin

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

nice colexn..... all

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

Jab bhi aaya woh koi daastan choor gayya
Kia kahon har bar hi mujhay tu hairan choor gayya

Main janta na tha muhabbat ki zubaan wurna
Woh tu har lafz main chahat ka nishan choor gayya

Dunia ki koi khushi na raas aa saki jissay
Dunia kay leiy woh khushyon ka jahan choor gayya

Koi yeh na pochay mujh say woh kaon hai kahan hai
Koi yeh battay keh woh mujh ko kahan choor gayya

Ussay samajhnay kay leiy mujhay sadyyan lagain shayyad
Woh kuch iss tarha say appni pehchaan choor gayya

Abb ki dafaa Munir woh bichra kuch iss adaa say
Har aik haqiqat pay khwaboon ka gumaan choor gayya .

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

Classic!
very nice!

Kon tha tu ke pher na dekha tujhey
mit gaya khaab ankh multey he

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

Oops…cross connection :~) Nice poem by the way :k: Thanx for sharing Kanzah,

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

just wanna share my own chotti si nazam hope u'll like it.

koi dinn to aisa ho.....

koi din to aisa ho
jub sari duniya tumko chahey
aur tum mujh per martey ho
shaam sawairey
hur pal merey naam ki mala japtey ho
bhor samey utthey hi...
tum merey rung..rung jatey ho
kaash koi din to aisa ho.

nazam by fiz khan

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

here's another one...

MUJHEY TUMSEY MOHABBAT HAI....

Mujhey tumsey mohabbat hai
sirf tumsey mohabbat hai
tumharey lamss ki khushboo
basey hai chaar soo merey
tumhari bolti ankhein
kahein atraaf hein merey
jin lamhon ko chaha tha
unhi baichain lamhon mein
mujhey tumsey mohabbat hai
sirf tumsey mohabbat hai

kabhi chup caap si baarish mein
kai geeli si yaadon mein
meri tanhai k dairon mein
kai khamosh ghairon mein
sabhi bezaar lamhon mein
mujhey tumsey mohabbat hai
sirf tumsey mohabbat hai

kisi maahroo ki bahon mein
baso jis roz bhi janaan
uss ik gulzaar lamhey mein
badan ki phaili khushboo mein
guzri yaadein bhulaney ko
mujhey dilsey mitaney ko
sirf ikk baar khud sey hi kehna
tumhein mujhsey mohabbat hai
sirf mujhsey mohabbat hai.....!!!

nazam by fiz khan

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

Laakho.n shaklo.n ke mele me.n tanhaa rahanaa meraa kaam
Bhes badal kar dekhate rahanaa tez havaao.n kaa koharaam
Ek taraf aavaaz kaa suuraj ek taraf ik guungii shaam
Ek taraf jismo.n kii Khushbuu ek taraf is kaa anjaam
Ban gayaa qaatil mere liye to apanii hii nazaro.n kaa daam
Sab se ba.Daa hai naam Khudaa kaa us ke baad hai meraa naam

Munir Niazi

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

excellent, dun ve words to express kaleem.:biggthumb

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

Thanks you djdoll .....................:)

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

hey kya baat hai bt i was waiting 4 d cmnts on my nazamz.....: (:(

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

*Barsaat *

Aah! ye baaraanii raat
Mii.nh, havaa, tuufaan, raqs-e-saayeqaat
Shash-jahat par tiirgii uma.Dii huii
Ek sannaaTe me.n bazm-e-hadasaat
Aur merii khi.Dakii ke niiche
Kaa.Npate pe.Do.n ke paat
Chaar suu aavaaraa hai.n
Bhuule bisare vaaqayaat
Jhakka.Do.n ke shor me.n
Jaane kitanii duur se
Sun rahaa huu.N terii baat

Munir Niazi

Re: Poet of the month — Munir Nayazi

Amazing I never knew Uncle Munir Niazi had such a big following still...I always thought he writes for the older generation...I am sorry guys I dont really get the Urdu/punjabi poetry but I try...Just wanted to mention he is such a wonderful person, I was amazed that he listens to the younger Pakistani bands...young at heart...I have personal stories about his life.(like how his father became Shaheed as well as how he had to kill the Indian s0ldiers in trying to protect his father)....quoted by my mother and my abu...

Munir Niazi dies...

Another terrible setback to the world of poetry! May God Almighty shower him with His blessings and help his family, friends and fans to withstand this tragedy :(

Re: Munir Niazi dies...

Inna Lillah e Wa Inna Ileh e Raa'jeoon

Re: Munir Niazi dies...

Inna lillah-e- wa Inna ileyh e raajeoon

Re: Munir Niazi dies…

Inna Lillhay wa Inna IlyehaY Ra’jeoon…

He was one fine poet whose poetry is all over on the lips of a common person unlike Iqbal or Haali whose class is only understood by a few…

I have grown up reading Niazi’s poetry at many avenues and with many tastes… His use of metaphorical situations was unique to him and one could easily recognize his style without seeing the poet’s name…

There are a significant amount of religious poetry to his name as well, not to mention some very famous naat that even I had a previlige to read in many gatherings and competitions during the childhood…

May Allah:swt: give him place in Jannah… Aameen