Re: Poet of the month — Munir Nayazi
Jab bhi aaya woh koi daastan choor gayya
Kia kahon har bar hi mujhay tu hairan choor gayya
Main janta na tha muhabbat ki zubaan wurna
Woh tu har lafz main chahat ka nishan choor gayya
Dunia ki koi khushi na raas aa saki jissay
Dunia kay leiy woh khushyon ka jahan choor gayya
Koi yeh na pochay mujh say woh kaon hai kahan hai
Koi yeh battay keh woh mujh ko kahan choor gayya
Ussay samajhnay kay leiy mujhay sadyyan lagain shayyad
Woh kuch iss tarha say appni pehchaan choor gayya
Abb ki dafaa Munir woh bichra kuch iss adaa say
Har aik haqiqat pay khwaboon ka gumaan choor gayya .