meray mun say bohut badboo ati hai. mai rouz subah subah uth kar Garlic khata hun kyun kay mera cholesterol high thaa last year. Meri mangayter ko meri boo achi nahee lagti. Koee tareeqa batayein jis say mai lehsson bhi na chorun aur meray mun ki badboo bhi chali jaye??
waisey kya mun ki badboo say daant kharaab hotay hain? meray dost nay kaha kay badboo may acid hota hai aur uski wajah say daant kharaab hotay hain, kya yeh sach hai??
You have to first figure out if your bad breath is because of the garlic alone or there are other reasons for it as well.
As far as the garlic is concerned, why don't you take it with lunch or dinner. That way it will get absorbed along with the food and may not smell as much.
Also, if you have high cholesterol, you should ask your doctor for a prescription medication as well, depending on your levels.
You may have other issues causes bad breath. Have you seen your dentist for a bi-annual check up?
@ Niksik = meri mangayter kehti hai lehsun ki badboo ati hai., so I guess it is becos of the garlic breath. aur baat rahee lucnh ya dinner kay saath khanay ki tou meri amma nay kahaa thaa subah khali pait khanay say afaqa hoga. Doctor nay dawayee di hai magar mainey socha dawayee say kya asur hona, lehsun kha kar daikhta hun.
Dentist kay paas gaya thaa dou saal pehlay. usnay paan khaanay say mana kya thaa aur phir mai uskay paas wapis nahee gaya. paan khanay say to boo nahee aasakti na??
Sure. Namak key ghararey kareiN… but I heard that drinking half a cup of brandy every night kills all the germs in your throat and when you wake up in the morning, your mouth will smell like a garden.
urdu may bhi branday boltay hain?? sharaab peeni hogi ya us kay gharary karnay hai? meri mangayter ko pata chala tou woh naraz bohut ho jaye gi.,, aur koee tareeqa nahee hai???ll
aap bari mazahyah hain. zyadah qareen nahee baithtay ham bus aik hi sofay par kar baithay baat kartay hain;; iss say zyadah kuch nahee yaqeen karein mera :)
garlic tablets will work same as kacha lehsun?
aur floss mai karta hun dhaggay say rouz raat kay khanay kay baad.