mumkin

***Mumkin hay chashm-e-num ko sitara na ker sako
Mumkin hay tum bhi koi ishara na ker sako

Mumkin hay zeher day kay ataa ker do zindagi
Mumkin hay ye karam bhi dobara na ker sako

Mumkin hay mera hukam bhi tum ko qabool ho
Mumkin hay ye iltajaa bhi gawaraa na ker sako

Mumkin hay do qadam pe badal jao rasta
Mumkin hay umer-bhar kinara na ker sako

“Mumkin hay meray baghair bita lo ye zindagi
Mumkin hay apnay saath bhi guzaraa na ker sako”***

Re: mumkin

ye laga teer nishaney per :attia:

WAh wah bohut alaa :lajawab:

Re: mumkin

aaj tu bari like ki barsaat lagaye hoi hai??? :hmmm:

Re: mumkin

jo cheez qabil-e-like hai ussey like kiya hai :hoonh:

Re: mumkin

yeh tu bara siyasi sa jawab hai…

Re: mumkin

marina's favorite after Aun Zara :p

Re: mumkin

:omg: