Mumkin ho Aap say to bhulaa dijiye mujhay...!

Aisay insaan kay liye jo sirf diloon ko torna janta hai !!

mumkin ho Aap say to bhulaa dijiye mujhay
paththar peh hoon lakeer, mita dijiye mujhay

har roz mujh say taazah shikaayat hai Aap ko
main kiyaa hoon, aik baar bataa dijiye mujhay

meray sivaa bhi hai koe mauzoo’-e guftugu
apnaa bhi koe rang dikhaa dijiye mujhay

main kiyaa hoon kis jageh hoon, mujhay kuch Khabar nahin
hain Aap kitni door sadaa dijiye mujhay

ki main nay apnay zaKhum ki tash-heer jaa-ba-jaa
main maantaa hoon jurm, sazaa dijiye mujhay

Qaa’im to ho sakay koi rishta guhur kay saath
gehray samundaroon main bahaa dijiye mujhay

shab bhar kiran kiran ko tarasnay say faaidah?
hai teeragi to Aag lagaa dijiye mujhay

jaltay dinoon main Khud pas-e-deevaar baith kar
saaye ki justujoo main lagaa dijiye mujhay

Shehzaad yoon to shola-e jaan sard ho chukaa
lekin sulag uthooN to hawa dijiye mujhay!

                        <  |  >

Re: Mumkin ho Aap say to bhulaa dijiye mujhay…!

bhut khoob:k:

Itna khobsoorat aur purasar kalam, Lamhey its just so wonderful. Thanks so much.

[QUOTE]
*Originally posted by Shabemah: *
Itna khobsoorat aur purasar kalam, Lamhey its just so wonderful. Thanks so much.
[/QUOTE]

thanks shabemah and jaan leva ji!

zabardast lamhay g app ke har post zabardast

[QUOTE]
*Originally posted by Munir: *
zabardast lamhay g app ke har post zabardast
[/QUOTE]

Aji Munir sahab !

Yeh tu zeyadatti hai na aap sirf aur sirf Lamhay ki hi postings ki tareef karte nazar atay hain... Kya baat hai... Kheriyat tu hai na???

Koi mushkil ho tu banda khidmat ke liye hazir hai !

:)

ye kia bakwas horahai hai yahan ???

[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *

Aji Munir sahab !

Yeh tu zeyadatti hai na aap sirf aur sirf Lamhay ki hi postings ki tareef karte nazar atay hain... Kya baat hai... Kheriyat tu hai na???

Koi mushkil ho tu banda khidmat ke liye hazir hai !

:)
[/QUOTE]

arif bhai hum apne ,madad app kartey haen hamay khudh apne mushkil ate hae hal karna app apne taklef hal karen

Re: Mumkin ho Aap say to bhulaa dijiye mujhay…!

main jaan sakti hoon k Munir saheb aur Arif saheb k durmiyaan itni mamooli si baat per Behas kiyon ho rahi hai??

Btw, ** Lamhey ** Nice ghazal.. :k:

Re: Re: Mumkin ho Aap say to bhulaa dijiye mujhay...!

[QUOTE]
Originally posted by ** Vivacious ***: *
main jaan sakti hoon k Munir saheb aur Arif saheb k durmiyaan itni mamooli si baat per Behas kiyon ho rahi hai??

[/QUOTE]

wo larki achii larki hay,tum naam na lo hum jaan gaye
wo jiske laambay gaisoo hain,pehchan gaye pehchan gaye
haan sath humare insha bhi us ghar main thay mehman gaye
per us se toa kuch bat naa ki,unjaan rahay unjaan gaye
ye baten jhooti baten hain,ye logon ne phailai hain
tum insha jii ka naam na lo,kiya insha ji sodai hain ?

Re: Re: Mumkin ho Aap say to bhulaa dijiye mujhay…!

lo bhala is main kia sochna
aur samjhna vivacious ji
arif ji ko pasand nahin kay munir sahab meri hi post ka reply hi kartay hain khali kisi aur ka kyo nahin aur munir sahab !
waisay ye ghalat baat hai aur bhi logh hain na!

hmm nice..