Mumkin hay chashm-e-num ko sitara na ker sako Mumkin hay tum bhi koi ishara na ker sako Mumkin hay zeher day kay ataa ker do zindagi Mumkin hay ye karam bhi dobara na ker sako Mumkin hay mera hukam bhi tum ko qabool ho Mumkin hay ye iltajaa bhi gawaraa na ker sako Mumkin hay do qadam pe badal jao rasta Mumkin hay umer-bhar kinara na ker sako
"Mumkin hay meray baghair bita lo ye zindagi Mumkin hay apnay saath bhi guzaraa na ker sako"