Aay kahan se roshni jab aftab hi na ho ,
manzar kahan se aay ga jab chasham-e-khawab hi na ho ,
jis k leye kia hai dil ne ihtamam-e-rang-o-bo ,
mumkin hai shakh-e-arzo par wo gulab hi na ho ,
achi tarha se daikh le pori tarha se janch le ,
manzal jo ab nazar mein hai koi siraab hi na ho ,
mangon wo cheez kis leye jis ka wajod hi nahi ,
aisa sawal kion karon jis ka jawab hi na ho ,
abar-e-safaid mein koi pani ki bond tak nahi ,
aisi bahar ki tarha jis par shabab hi na ho ,
mumkin nahi sehar na laay nor-e-subha apny sath ,
soraj k hath mein naay din ki kitaab he na ho…