Multan By election

Re: Multan By election

chanda, ya tou aap bohat bholay hein, ya aap sirf rhetoric pe kaan dharte hain.
Hashmi ki corruption ki hoshruba daastaanein, zaban zad-e-aam hain.
Ye Nawaz Sharif ki ayyari thi ke usnay apnay sub se moziz samjhe jaane wale banday ko apnay khilaaf khari hoti qowat mein daakhil kara diya.
JH May 2014 se direct contact mein thay Saad Rafiq aur Parvez Rasheed say, ye dharnay ke dauraan hospital mein admit hone waalay din Imran Khan ke saamne saboot rakhe gaye. tou Imran Khan ko yaqeen na aaya.
Woh NS se tou kisi bhi cheez ki tawwaqo rakh sakta tha, lekin JH se ye tawaqo nahi thi. lekin phone records jub usko container mein dikhaya gaya, aur cross reference ke liye phone numbers match kiye gaye, tou kuch kehne ke liye bacha nahi tha. phir ye decide kiya gaya, ke bajaaye JH ko nikaalne ke, unki next move ka intezaar kiya jaye. Jo 2 din mein hi saamne aagaya.

Asal baat ye hai, ke JH ka koi mustaqil source of income nahi hai, lekin pichlay 32 saal mein inkay bank balance aur life style ko dekhein tou koi match nahi. JH ne inquiry ke saamne aain baain shaain ki thien, aur baghlein jhaank rahe thay. Doosray din unhoone ye statement submit karaai, ke mujhe mere mureed crore Rs. dete hain. Jub ke ye tou gaddi nasheen tak nahi hain. ye politics mein maal banane ke liye hain.