Multan By election

Re: Multan By election

aapke tarkeeb meN ek tarkeeb yeh bhii shaamil kar leN k:

corruption kaa saaraa malba siyaasatdaanoN par hii na Daalaa jaaye bal k hama shuma ko bhii isse riokaa jaaye. har moHakme, har idaare aur har daftar meN rishwat, be-iimaanii aur corruption kaa bol baalaa hai.

'awaam ko sudhaare baGhair kuchh nahiiN ho saktaa. 'awaam ki rishwat-Khor, corrupt logoN aur be-iimaanoN kii tarz-e-zindagii se mar’oob honaa band kar deN aur unke tayiiN nafrat ko faroGh deN.