Mukaalmati Salaam..

Aik Buhat Khoobsurat Mukaalma,

Kaha, Saray Gharon Main Konsa Ghar Sab Se Aala Hai
Jawab Aaya Ke Ehl-E-Bait Ka Ghar Sab Se Aala Hai

Kaha, Pakeezgi Main Koi Parda Jo Misali Ho
Kaha, Bint-E-Nabi Ke Sirr Ki Chaadar Sab Se Aala Hai

Kaha, Mairaaj Sirr Katnay Ki Jangon Main Koi Dekhi
Jawab Aaya Jo Sajday Main Kataa Sirr Sab Se Aala Hai

Kaha, Itni Safain Ek Simt, Chand Afraad Ek Jaanib
Kaha, Tadaad Main Jo Kam Hai Lashkar Sab Se Aala Hai

Kaha, Qurbaanion Main Sab Se Arfaa Hai Adad Koi
To Ek Pal Main Jawaab Aya Bahattar (72) Sab Se Aala Hai

Kaha, Sajday Main Ek Sirr Ek Taraf, Ek Simt Ek Lashkar
Kaha Iss Jung Ka Yehi To Manzar Sab Se Aala Hai

(Adeem Hashmi)

Umeed Hai Pasand Aye Ga,

Regards,

Re: Mukaalmati Salaam..

:lajawab:
bass jee khush kar diya aap ne Ahmer!!

Re: Mukaalmati Salaam..

:lajawab:
bass jee khush kar diya aap ne Ahmer!!

Re: Mukaalmati Salaam..

waqai Ahmer jitna bhi kahengey kam hoga bohat khubsurat

Re: Mukaalmati Salaam..

wah bohot khoob. thx for sharing

Re: Mukaalmati Salaam..

Thank You JJW, Tehreem and Ajnabi Larki.. :)

Re: Mukaalmati Salaam..

Bohat He Umdaa Tehreer................
:)

Re: Mukaalmati Salaam..

Thank You soniaa_jee

Re: Mukaalmati Salaam..

awesome sharing too gud :)

Re: Mukaalmati Salaam..

buhat umdaaa aur aala

Re: Mukaalmati Salaam..

Thank You bheegiyaad and deadsoul.. :)