Bekhudi besabab nahi ‘Ghalib’
Kuch to hai jis ki pardadari hai
dil-o-mizshgan ka jo muqadma tha
aj phir us ki rubqari hai
Bekhudi besabab nahi ‘Ghalib’
phir usi bewafa pe marte hain
phir wahi zindagi hamari hai…
Bekhudi besabab nahi ‘Ghalib’
Kuch to hai jis ki pardadari hai
phir diya para-e-jigar ne sawal
ek fariyad-o-ah-o-zari hai
Bekhudi besabab nahi ‘Ghalib’
phir hue hain gawah-e-ishq talab
ashq bari ka hukmjari hai
Bekhudi besabab nahi ‘Ghalib’
phir kuch is dil ko beqarari hai
sina joya-e-zakhm-e-kari hai
Bekhudi besabab nahi ‘Ghalib’……