mujy bekhudi ki hai aarzoo,mujhay qurbaton ka khumar de
mery ang ang mein yun utar k mujhi mein khud ko utar de
tu jo poor poor mein bas gaya to hay doorion ka jawaz kya
meri zindagi mere pass aa,meri bekali ko nikhar de
meri zindagi pe muheet hain,vohi wehshatein vohi doorian
main khizan raseeda si sham hoon,mujy apnay rukh ki bahar de
meri bebasi hay baja magar,mery shok ka bhi hisab kar
main siyah naseeb jo hoon agar,tu mera naseeb sanwar de
hay nazar nazar teri justaju,tu meri wafa ki hay aabroo
kabhi yun b ho mery rubaru mujy jaan se hi guzar de
mujy iss tarah se tu yaad aa,teri yaad ka guman b na ho
tu mery khayal mein yun sama,mera harf harf nikhar de...!!!
Bekhudi besabab nahi ‘Ghalib’
Kuch to hai jis ki pardadari hai
dil-o-mizshgan ka jo muqadma tha
aj phir us ki rubqari hai
Bekhudi besabab nahi ‘Ghalib’
phir usi bewafa pe marte hain
phir wahi zindagi hamari hai…
Bekhudi besabab nahi ‘Ghalib’
Kuch to hai jis ki pardadari hai
phir diya para-e-jigar ne sawal
ek fariyad-o-ah-o-zari hai
Bekhudi besabab nahi ‘Ghalib’
phir hue hain gawah-e-ishq talab
ashq bari ka hukmjari hai
Bekhudi besabab nahi ‘Ghalib’
phir kuch is dil ko beqarari hai
sina joya-e-zakhm-e-kari hai
Bekhudi besabab nahi ‘Ghalib’……